
Tum Aankhon Ke Rastay Seh Dil Mai Utar Jaoo
Tum Pyaar Key Saagar Mai Apna Aap Bighoo Daloo
Tum Apney Hathoon Ki Mehndi Sey Saarey Sapnoo Ko Mehka Doo
Tum Sawan Kay Badal Ki Tarha Mujh Per Baras Jaooo
Tum Jo Aaoo To Har Cheez Mehak Jayee
Tum Jo Jaooo To Udassi See Chaa Jayee
Tum Jo Chahoo To Mujhe Apni Aankhon Ka Kajal Kar Doo
Tum Jo Chahoo To Mujhee Badal Kar Doo
Tum Jo Chahoo To Mujhe Is Qadar Pagal Kar Doo
Magar SunooO
Tum Se Yehi Guzarish Hai
Tum Apney Hathoon Ko
Merey Hathoon Mai Dey Doo
Tum Merey Saath Zindagi Ke Safar Main Chalooo
Tum Merey Pyaar Ko Amar Kar Dooo
Aankhon ne kaise khwab taraashe hain in dino
Dil per ajeeb rang utarte hain in dino
Rakh apne paas apne ma-o-meher ai falak
Hum khud kisi ki aankh ke taaarey hain in dino
Dast-e-seher ne maang nikaali hai ba raha
Aur shab ne aake baal sanware hain in dino
Is ishq ne hame hi nahee mo’atadil diya
Us ki bhi khushmizagi ke charche hain in dino
Ik khushgawaar neend pe haq ban gaya mera
Wo rat jage is aankh ne kaate hain in dino
Wo qaht-e-husn hai ke sabhi khush jamal log
Lagta hai Qoh-o-qaaf pe rehte hain in dino
Apni Yadain,apni Batain Le Kr Jana Bhool Gia,
janay Wala Jaldi Main Tha Mil Kr Jana Bhool Gia,
mur Mur K Dekha Tha Usnay Jatay Rustay Main ,
jaisay Usnay Kch Kehna tha Jo Wo Kehna Bhool Gia,
meri aankhain Poonch Raha Tha Aanchal Se,
usko gham Tha Itna ziada Khud Wo Rona bhool gia,
wqt K Behtay Dharay Main Kesi Hum Ne Ghaflat Ki,
main Bi Kehna Bhool gia wo Bi rukna bhool gia,